kabhi KHud ko kabhi KHwabon ko sada dete hain

kabhi khud ko kabhi khwabon ko sada dete hain
kaisi diwar uthate hain gira dete hain

aao do chaar qadam chal ke bhi dekhen yaro
ham-safar apne kahan hum ko dagha dete hain

jaane kya soch ke ai dost ye arbab-e-chaman
zahr-pashi se wo paudon ko jala dete hain

ye guzargah ke patthar teri thokar mein sahi
har qadam par tujhe manzil ka pata dete hain

ye wo duniya hai jahan jhut chhupane ke liye
log sachchai ko suli pe chadha dete hain

jab bhi aate hain use chhu ke hawa ke jhonke
dil ke soe hue jazbaat jaga dete hain

dur-o-nazdik ye sannaton ke gahre sae
aane wale kisi tufan ka pata dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close