raunaq-e-baam-o-dar nahin baqi

raunaq-e-baam-o-dar nahin baqi
kaise kah dun ki ghar nahin baqi

us ko dekha hai us ki nazron se
jaise apni nazar nahin baqi

rahnumaon ne is qadar luta
ab luteron ka dar nahin baqi

har musafir se raston ne kaha
zulmaton mein sahar nahin baqi

dil to mahrum-e-sidq lagta hai
aur dua mein asar nahin baqi

main ne akhbar padh liya 'ashiq'
koi taza khabar nahin baqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close