kabhi KHushi kabhi gham ke payam aate hain

kabhi khushi kabhi gham ke payam aate hain
kisi ke ishq mein kya kya maqam aate hain

hamare pine ka andaz bhi nirala hai
hamare waste aankhon se jam aate hain

jise bhulae hue ek umr bit gai
usi ke aaj bhi mujh ko salam aate hain

kisi ki yaad ke lamhe hamare dil ki taraf
ibaadaton ke liye subh-o-sham aate hain

andhera chhaya to sae ne sath chhod diya
suna hai waqt pe apne hi kaam aate hain

jo rang ubharte hain ulfat ki dastan mein 'nazar'
faqat unhin ke misalon mein nam aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close