kabhi main ne unhen puchha nahin hai unhen bhi hai mohabbat ya nahin hai ijazat ho to main ye arz kar dun saliqa aap ka achchha nahin hai wahi chhaya hua hai zindagi par wo jis ko aaj tak dekha nahin hai sitam aalam mahrumi tabahi meri taqdir mein kya kya nahin hai abhi kuchh aur bhi jaur-o-sitam hun abhi sadmon se dil tuta nahin hai na jaane kis ghadi chhin jae mujh se ye zalim jism bhi mera nahin hai meri taqdir hi mein thokaren thin mujhe duniya se kuchh shikwa nahin hai ajab insan hai duniya mein wo bhi sada-e-waqt jo sunta nahin hai kahan rahte ho 'asi' aaj-kal tum kai din se tujhe dekha nahin hai