hai ta-hadd-e-nazar nila samundar badan mein phadphadata hai kabutar ab is ka nam tak baqi nahin hai wahi jo ji raha tha mere andar bata ai dil mere bujhte hue dil ye kis aaseb ka saya hai tujh par maani ka hai baatin se talluq bahut kuchh kah gae chup chup se manzar meri dahliz par chupke se 'pashi' ye kis ne rakh di meri lash la kar