kabhi talash na zae na raegan hogi agar hui bhi to az-rah-e-imtihan hogi agar mumaniyat-e-sair-e-gulistan hogi to phir bahaar hamein ru-kash-e-khizan hogi usul ye to nahin hai ki na-murad rahen faza kabhi na kabhi hum pe mehrban hogi jahan-e-dard mein insaniyat ke nate se koi bayan kare meri dastan hogi mai-e-nashat-o-tarab jis ka hum se wada tha jabhi hui na faraham to ab kahan hogi bayan-e-gham to bahut sahl hai pa lazzat-e-gham siwa-e-ijz-e-bayan kis tarah bayan hogi agar ghalat hai jo kuchh us ne mujh se aa ke kaha to ye jasarat-e-tahrif-e-raazdan hogi pata chala ki basarat-fareb hain jalwe main is khayal mein tha aql pasban hogi wahan wahan gham-e-haalat raushni denge meri ghazal ki rasai jahan jahan hogi piyo piyo ki subuhi se fasla na rahe numud-e-subh ki taqrib mein azan hogi nashemanon ki mukhalif na thi bahaar-e-chaman magar shararat-e-ima-e-baghban hogi to kya kasafat-e-uryani-e-ghazal ai 'shad' adab ki khak udane se kuchh ayan hogi