kahta hai baghban lihaza na chahiye warna chaman ka haal chhupana na chahiye is mashwara ke sath ki charcha na chahiye dil kah raha hai un pe bharosa na chahiye pad jae khadd-o-khal-e-manazir pe raushni itne qarib se bhi nazara na chahiye hum ghaur kar rahe hain to mahfil hai fikr mein uthna na chahiye ki uthana na chahiye dastur hai guzarish-e-ahwal-e-waqai qanun ye nahin hai ki shikwa na chahiye tufan-e-inqalab se mayusiyon ke baad kashti pukarti hai kinara na chahiye gul-ha-e-rang-rang mein thanti nahin kabhi hum ko bhi is lihaz se jhagda na chahiye katti hai aarzu ke sahaare pe zindagi kaise kahun kisi ki tamanna na chahiye mera qusur ye hai ki hubb-e-watan mein 'shad' likhta hun likh chuka hun jo likhna na chahiye