kabhi to aa meri aankhon ki raushni ban kar

kabhi to aa meri aankhon ki raushni ban kar
zamin-e-khushk ko sairab kar nami ban kar

racha hua hai teri kam-nigahiyon ka karam
nashe ki tarah mere dil mein sarkhushi ban kar

kabhi to aa tapish-e-jaan-gusal hi dene ko
kabhi guzar inhi rahon se ajnabi ban kar

khusha ki aur mila gham ka taziyana hamein
khusha wo dard jo chhaya hai naghmagi ban kar

tumhein aziz nahin hai to ho aziz kise
na mil sakega koi wajh-e-zindagi ban kar

palat ke dekh na us ko wo khak kar dega
tere ghurur ko zahrab ki ani ban kar

hui na us se wafa tum se kya hua 'nahid'
abhi talak jiye jati ho baoli ban kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close