mausam-e-hijr to daim hai na ruKHsat hoga

mausam-e-hijr to daim hai na rukhsat hoga
ek hi lamhe ko ho wasl ghanimat hoga

mera dil aakhiri tare ki tarah hai goya
dubna us ka nae din ki bashaarat hoga

ab ke hangama nai tarah hua hai aaghaz
shahr bhi ab ke nae taur se ghaarat hoga

shakh se tut ke patte ne ye dil mein socha
kaun is tarah bhala mail-e-hijrat hoga

dil se duniya ka jo rishta hai ajab rishta hai
hum jo tute hain to kab shahr salamat hoga

baadbanon se hawa lag ke gale roti hai
ye safina bhi kisi mauj ki qismat hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close