kabhi udo to sahi tum udan se upar fazaen aur bhi hain aasman se upar mera safina ajab kashmakash mein tairta tha hawa sukut mein thi baadban se upar kisi ne sach na kaha aur sab ne sach jaana ajab kamal-e-bayan tha bayan se upar mere harif ke sab tir be-khata to na the magar wo dast-e-aman tha kaman se upar kisi ne aaj hi pani mein panw dala hai chala hai aaj hi dariya nishan se upar mera qabila tah-e-asman hai be-khema yaqin ki had hai magar har guman se upar agar ye qafila mera nahin to phir 'athar' hai kis alaw ka partaw chatan se upar