kaf-e-qatil mein khanjar jagta hai bada pur-kaif manzar jagta hai udhar angdaiyan leti hain ninden idhar zakhmon ka bistar jagta hai uthe hai pahle sine mein dhuan sa phir aankhon mein samundar jagta hai ajab hai dard ko yaadon se nisbat ki naghma jaise lai par jagta hai tamannaon ka ye anjam tauba lahu ka ek samundar jagta hai ye aalam to na tha darman se pahle ki ab rag rag mein nishtar jagta hai tumhaare sher bhi 'asrar' kya hain bas ek lafzon ka lashkar jagta hai