kaha us ne main hun tanha udhar sara zamana hai kaha main ne zamana har tarah ka bit jaana hai kaha us ne ki tum bhi aur logon ki tarah se ho kaha main ne tumhaara hausla bhi aazmana hai kaha us ne ki ab tak raste mahfuz the lekin kaha main ne isi lekin ka to sara fasana hai kaha us ne ki mere khwab mein tum sath the mere kaha main ne ki khwabon ko haqiqat bhi banana hai kaha us ne ki dekho zulmaton ka sath mat dena kaha main ne hawaon mein diya rakh kar jalana hai kaha us ne ki manzil aur kitni dur hai 'anwar' kaha main ne hamein is dhund kai us par jaana hai