kahan dard-e-dil ki dawa chahti hun mohabbat mein hona fana chahti hun dikha de jo chehre ke pichhe ka chehra main aisa koi aaina chahti hun tarasha nahin hai tujhe main ne yun hi banana main tujh ko khuda chahti hun nahin chahti main siwa is ke kuchh bhi agar de sako to wafa chahti hun saza jis ki kati hai ta-umr main ne 'sikhar' jaanna wo khata chahti hun