kahan gai ehsas ki khushbu fana hue jazbaat kahan hum bhi wahi hain tum bhi wahi ho lekin ab wo baat kahan mausam ne angdai li to muskae kuchh phul magar man mein dhum macha de ab wo rangon ki barsat kahan mumkin ho to khidki se hi raushan kar lo ghar-angan itne chand sitare le kar phir aaegi raat kahan khwabon ki taswiron mein ab aao bhar len rang naya chand samundar kashti hum tum ye jalwe ek sath kahan ek chehre ka aks sabhi mein dhund raha hun barson se lakhon chehre dekhe lekin us chehre si baat kahan chamak damak mein dub gae hain pyar wafa ke asli rang 'dew' jahan walon mein ab wo pahle se jazbaat kahan