kahan hai wo gul-e-khandan hamein nahin malum na puchh bulbul-e-nalan hamein nahin malum firaq hi mein basar ho gai hamari umr hai kaun wasl se shadan hamein nahin malum hamein to ek sada-e-jaras hi aati hai hua hai kaun huda-khwan hamein nahin malum talash-e-khizr tariqat hai is liye salik kahan hai chashma-e-haiwan hamein nahin malum talash-e-yar mein 'saqi' hue hain sar-gardan kahan hai manzil-e-jaanan hamein nahin malum