kahan mahfil mein mujh tak baada-e-gulfam aata hai jo mera nam aata hai to khali jam aata hai na aao tum to phir kyun hichkiyon par hichkiyan aaen inhen roko ye kyun paigham par paigham aata hai ye sawan ye ghata ye bijliyan ye tutti raaten bhala aise mein dil walon ko kab aaram aata hai adab ai jazba-e-bebak ye aah-o-fughan kaisi ki aisi zindagi se maut par ilzam aata hai madad ai marg-e-nakaami naqahat ka ye aalam hai badi mushkil se honton tak kisi ka nam aata hai khuda rakkhe tujhe ai sar-zamin-e-shahr-e-khamoshan yahin aa kar har ek bechain ko aaram aata hai maaz-allah meri aankhon ka izhaar-e-tang-zarfi tapak padte hain aansu jab tumhaara nam aata hai zamane mein nahin dil-dada-e-mehr-o-wafa koi tujhe dhoka hai ai dil kaun kis ke kaam aata hai