salaf se log un pe mar rahe hain hamesha jaanen liya karenge

salaf se log un pe mar rahe hain hamesha jaanen liya karenge
yahi karishme hua kiye hain yahi karishme hua karenge

hamein jo be-jurm piste ho ye jaante ho ki kya karenge
khuda ne chaha to surma ho kar tumhaari aankhon mein ja karenge

na rahne denge kabhi wo baham tapak dekhenge un mein jis dam
badan se kharij karenge jaan ko jigar se dil ko juda karenge

chamak hai us mein mohabbatana ye be-qarari hai aashiqana
maza uthaenge dard-e-dil ka kabhi na is ki dawa karenge

badha to hai rabt hum se tum se khuda ne chaha to dekh loge
tumhaare pahlu mein yar dil ki tarah hamesha raha karenge

kisi ka ehsan hum na lenge kisi ko taklif kuchh na denge
khuda ne paida kiya hai hum ko khuda hi se iltija karenge

jab aaenge wo pae-ayaadat to hogi dil ko umid-e-sehhat
zamana mujh ko dua karega masih meri dawa karenge

nahin khush-amal agar nahin hun farishte turbat mein khashmagin hon
khuda ki rahmat se mutmain hun ye kya karenge wo kya karenge

tamam hote hain dekh jaun jamal aa ke hamein dikhao
tumhaare gham mein labon pe dam hai koi ghadi mein qaza karenge

rahegi yaad un ki khush-khirami mera sukhan hai ye la-kalami
qadam na parde se wo nikalen meri nazar mein phira karenge

rulae jati hai un ki hasrat chali hi aati hai mujh ko riqqat
rahengi kahe ko meri aankhen jo yunhi aansu baha karenge

mila hai aaram aashiyan ka nahin kuchh andesha baghban ka
riha bhi honge to aa ke akasr hum is qafas mein raha karenge

kahin thikana nahin hamara tumhaari shafqat ka hai sahaara
gharib hain do hamein dilasa tumhaare haq mein dua karenge

laraz rahe hain satane wale khuda ke aage kai hain nale
gurez un se karega mahshar ye wo qayamat bapa karenge

agar chhute bhi qafas se bulbul karegi barbaad hasrat-e-gul
rasai hogi na aashiyan tak chaman mein tinke chuna karenge

qubul hogi dua hamari karenge jis dam hum aah-o-zari
kabhi na jaegi upar upar hamari hajat rawa karenge

nigahen un par jo hum ne dalin unhon ne aankhen 'sharaf' nikalin
sitam ye dhaya hai kam-sini mein jawan ho ke wo kya karenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close