kahan nasib zamurrad ko surKH-rui ye

kahan nasib zamurrad ko surkh-rui ye
samajh mein lal ki ab tak hina nahin aai

khajil hai aankhon se nargis gulab galon se
wo kaun phul hai jis ko haya nahin aai

umad raha hai pada dil mein shauq zulfon ka
ye jhum jhum ke kali ghata nahin aai

ho jis se aage wo but hum se ham-sukhan waiz
kahin hadis mein aisi dua nahin aai

zaban pe us ki hai har dam meri bala aae
bala bhi aae to samjho bala nahin aai

shab-e-firaq ka chhaya hua hai rob aisa
bula bula ke thake hum qaza nahin aai

nazar hai yar ki 'shahbaz' kimiya-tasir
par apne hisse mein ye kimiya nahin aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close