ahl-e-ulfat se tane jate hain

ahl-e-ulfat se tane jate hain
roz roz aap bane jate hain

zabh to karte ho kuchh dhyan bhi hai
khun mein hath sane jate hain

ruthna un ka ghazab dhaega
ab wo kya jald mane jate hain

kuchh idhar dil bhi khincha jata hai
kuchh udhar wo bhi tane jate hain

kyun na gham ho mujhe ruswai ka
wo mere sath sane jate hain

dil na ghabrae ki wo ruth gae
chaar fiqron mein mane jate hain

hai ye matlab nahin chhede koi
baithe baithe wo tane jate hain

be-wafaon se wafa ki ummid
'nuh' nadan bane jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close