kahani ko mukammal jo kare wo bab utha lai main us ki aankh ke sahil se apne khwab utha lai khushi meri gawara thi na qismat ko na duniya ko so main kuchh gham bara-e-khatir-e-ahbab utha lai hamesha ki tarah sar ko jhukaya us ki khwahish par andhera khud liya us ke liye mahtab utha lai samete us ke aansu apne aanchal mein to jaane kyun mujhe aisa laga kuchh gauhar-e-nayab utha lai mayassar tha na koi khwab in aankhon mein rakhne ko so main in ke liye ashkon ka ek sailab utha lai