kahin charaghon ko nind aae kahin pe rabt-e-hijab TuTe

kahin charaghon ko nind aae kahin pe rabt-e-hijab tute
kisi ki aankhon ki jage qismat kisi ka band-e-naqab tute

tumhaari aankhon ke samne hi hamari aankhon ka khwab tute
faza ki rangin titliyon ki nazar se shakh-e-gulab tute

dayar-e-shab ke the sab musafir sukut-e-shab to sabhi ne toda
to muntakhab ek hami hon kahe hami pe kyon ye azab tute

na kar jabin-e-khiyam zakhmi na sah azabon ki dhup sar pe
na kar hawaon ki parwarish yun ki zor-awar tanab tute

wo jis ki mitti mein pal rahe the shagufe amn-o-aman ke logo
usi pe barsa lahu ka baadal usi pe sare azab tute

'asad' ghataen ye tirgi ki tabhi chhatengi ki jab falak par
kisi ke mathe ka chand chamke kisi nazar ka shahab tute


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close