kahin jamal-paziri ki had nahin rakhta

kahin jamal-paziri ki had nahin rakhta
main badh raha hun tasalsul se qad nahin rakhta

ye qabl o baad ke us par ki hikayat hai
mera dawam azal aur abad nahin rakhta

wo ek ho ke bhi hum se gina nahin jata
wo ek ho ke bhi aage adad nahin rakhta

ye umr bhar ki riyazat mera muqaddar hai
tarashta hun jise khal-o-khad nahin rakhta

wo ek sukhan hi hamari sanad na ban jae
wo ek sukhan jo tumhaari sanad nahin rakhta

'turab' kasa-e-dil pesh kar diya jae
suna hai koi sakhawat ki had nahin rakhta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close