kahin to hogi mulaqat ai chaman-ara

kahin to hogi mulaqat ai chaman-ara
ki main bhi hun teri khushbu ki tarah aawara

hazar aib kamae hain ek khubi se
jo ab ho main so hun apne mizaj ka mara

hua na tis bahaaron mein ek bar hamein
ye ishtiyaq ki aae bahaar dobara

baghair markaz-e-ummid-o-be-sukun-e-darun
main ek khala hun jo sabit bane na sayyara

hai ek shahr mein aur muddaton nahin milta
wo shakhs jis ko rakha hum ne jaan se pyara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close