khizan tanha na sair-e-bostan ko ja bigad aai saba bhi chal ke wan ai bulbulo phulon ko jhad aai shab-e-bimar ya kali bala ya raat kali hai qayamat aai ya chhati pe ye hijran pahad aai jo aaya yar to tu ho chala ghash ai diwane dil isi dam tujh ko marna tha bata kya tujh ko dhad aai masal hai bar-mahal ai 'azfari' jo ki gaya koi hamari bar ko gul chhad gae kanton ki bad aai