kahin zamin ke par aur aasman ke par

kahin zamin ke par aur aasman ke par
parinde dhund rahe hain ghar is jahan ke par

main thak chuka hun tera intizar karte hue
magar pukar raha hai koi thakan ke par

bichhad ke ro raha hai is qadar kahani se
pahunch gaya tha wo kirdar dastan ke par

main tere wasl ki shiddat se khub waqif hun
mujhe milo to milo jism ke makan ke par

tumhaare zikr ka mear khub gahra hai
khamoshiyon se kahin aage is zaban ke par

yaqin ka hath pakad lo ye mashwara hai mera
bas ek ujda hua dasht hai guman ke par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close