kahna hi mera kya hai ki main kuchh nahin kahta

kahna hi mera kya hai ki main kuchh nahin kahta
ye bhi tumhein dhoka hai ki main kuchh nahin kahta

ye baat ki kahna hai mujhe tum se bahut kuchh
is baat se paida hai ki main kuchh nahin kahta

apni hi kahe jata hai ai naseh-e-na-faham
tu kuchh nahin sunta hai ki main kuchh nahin kahta

rahta hai wo but shikwa-e-aghyar pe khamosh
kahta hai to kahta hai ki main kuchh nahin kahta

kahlao na kuchh ghair ki tarif mein mujh se
samjho to ye thoda hai ki main kuchh nahin kahta

kahne ka to apne hai 'wafa' aap bhi qael
kahne ko ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close