tewar bhed batate hain ye nam-alud hawaon ke

tewar bhed batate hain ye nam-alud hawaon ke
aaj zara khul khelne wale hain andaz ghataon ke

kamra band kiya aur sare zabt ke bandhan tut gae
aankhen dhili chhodin raste khol diye dariyaon ke

dogana aazar hai sahab hum jaison ki qismat mein
hum muhtaj rawayyon ke aur hum majbur anaon ke

dekh le kitne kasht utha kar tere dar tak pahuncha hun
dekh le papdi honton ki aur dekh le chhaale panw ke

khaiyan hain khadde rode hain kankar patthar hain lekin
jannat ke raste lagte hain sare raste ganw ke

un ki chah mein qarya qarya basti basti ghum liye
un ki chah mein kone khudre chhan liye sahraon ke

hum jo bazm-e-ghair mein aksar un ki baaten karte hain
tapti dhup mein lutf liya karte hain thandi chhanw ke

tod ke rasm-e-ahd-e-wafa ko aakhir chhod hi jaana tha
pinjre mein aa baithe the panchhi aazad fazaon ke

hum mehrab aur mimbar walon ki aankhon ko chubhte hain
hum ne aql ko rahbar mana hum mafrur khudaon ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close