kai zamanon se mujh mein jo dard bikhra tha zara si umr mein us ne kahan simatna tha nahin gila jo mujhe mil gaya hai gham itna kabhi kisi ne to aakhir ye dard sahna tha lage the kanpne jallad ke jo dast o pa ajal se mil ke gale koi muskuraya tha khiraj deta chala aa raha hun naslon se ye kis ghanim ke hathon mein itna haara tha main kab ka tut ke 'haidar' bikhar gaya hota khuda ka shukr tere dard ka sahaara tha