kaif nasib ab kahan ghunchon ke bhi jamal mein

kaif nasib ab kahan ghunchon ke bhi jamal mein
kis ne ye rang bhar diya sadgi-e-khayal mein

qatra-e-shabnam-e-haya ghuncha-o-gul araq araq
kya kya simat ke aa gaya daman-e-infial mein

jurat-e-iztirab-e-dil tu ne bata ye kya kiya
un ki bhi baat aa gai koshish-e-arz-e-haal mein

kaisi hadish-e-rang-o-bu zikr-e-jamal-o-nur kya
husn hi jab na aa saka daira-e-khyal mein

ishq hi khud hai ek jahan rasm-e-quyud se alag
ishq si koi shai nahin daman-e-mah-o-sal mein

nashtar-e-gham se kam nahin meri asar-paziriyan
der lagegi ab zara zakhm ke indimal mein

jaan-e-hazin nahin faqat mahw-e-fughan-e-arzu
raunda hua sa dil bhi hai hasrat-e-paemal mein

hijr-o-visal-o-ranj-o-gham hasrat-o-yas-o-arzu
har shai ubhar ke aa gai mubham se ek sawal mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close