kaisa manzar guzarne wala tha

kaisa manzar guzarne wala tha
aankh se dar guzarne wala tha

wo ajab rahguzar thi jis ka
mustahiq har guzarne wala tha

waqt se main guzar raha tha magar
waqt mujh par guzarne wala tha

ek hi dil mila tha aur dil bhi
kuchh na kuchh kar guzarne wala tha

us ne bheje the ashk manzar mein
khushk se tar guzarne wala tha

mere raste ko kar diya hamwar
mujh se behtar guzarne wala tha

jaan hatheli pe rakh ke maqtal se
ek khud-sar guzarne wala tha

main ne zanjir rail mein khinchi
jab mera ghar guzarne wala tha

shukr hai kaam aa gai hikmat
khair se shar guzarne wala tha

main wahi kar nahin saka sad-haif
kaam jo kar guzarne wala tha

mere dil ki hawa se 'zeb' us din
mor ka par guzarne wala tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close