kaisi bala-e-jaan hai ye mujhko badan kiye hue

kaisi bala-e-jaan hai ye mujh ko badan kiye hue
mitti ke is bides ko apna watan kiye hue

mere lab-e-wajud par sukhe pade hue hain lafz
maujon zamana ho gaya us se sukhan kiye hue

aaya tha ek gul-e-visal daman-e-hijr mein kabhi
main hun us ek phul ko apna chaman kiye hue

us ki taraf se aaj tak shor na khamushi koi
kab se hun us khala ki samt ru-e-sukhan kiye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close