kaj-faham se kya dil ki hikayat kahen hum

kaj-faham se kya dil ki hikayat kahen hum
behtar hai jo samjhen so wahi ban ke rahen hum

ho rau mein teri chashm-e-bala-khez ka dariya
is nur ke sailab mein ek bar bahen hum

jo kaif tere qurb mein hai aur kahan hai
dekh aae hain waise to bahut aish-gahen hum

thi jhilon ki aaghosh mein gahrai jahan par
chhod aae parindon ki tarah aisi jaghen hum

aamad ka teri jab koi imkan nahin hai
kab tak dil-e-be-tab yunhi tham rakhen hum

jo aks wo chahen wahi aaina dikhae
wo dekhen hamein jaise 'khiram' un ko dikhen hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close