gham na kar gham ki siyah raat badal sakti hai jo bhi ho surat-e-haalat badal sakti hai wada-e-wasl pe main khush to hua hun lekin ye bhi khadsha hai ki wo baat badal sakti hai main tere naz uthane pe raza-mand magar tu mere waste aadat badal sakti hai main ne mana meri waqat nahin kuchh bhi lekin tu jo mil jae to auqat badal sakti hai main tujhe dil mein basa lun magar itna to bata tu khushi mein mere sadmat badal sakti hai is liye bhi main riwayat ka qail na hua ye hai duniya ye riwayat badal sakti hai