kal jo jhonke KHizan ke chale aae the rang sara chaman ka uDa le gae

kal jo jhonke khizan ke chale aae the rang sara chaman ka uda le gae
shakh se har kali ko juda kar gae gul ke lab se hansi ko chura le gae

hum musibat ke mare gharib-ul-watan jab watan se khud apne nikale gae
sath tuta hua ek dil le gae aur aankhon mein aansu bitha le gae

yaad itna hai ki pas aae the wo phir hua yun hawas apne gum ho gae
hosh aane pe khud mein kami si lagi main samajh hi na pai wo kya le gae

har khushi to chali hi gai thi magar teri yaadon ka baqi tha ek aasra
waqt ke tez tufan jo ghir aae the aakhiri aasra bhi baha le gae

baad muddat ke rahat labon par mere aa rahi thi hansi dhire dhire magar
yak-ba-yak aa ke jhonke teri yaad ke phir labon se hansi ko uda le gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close