kal tak jo dil ghurur-e-jalal-o-jamal tha

kal tak jo dil ghurur-e-jalal-o-jamal tha
aaj un ke raste mein pada paemal tha

zanjir thi kahin na kahin koi jal tha
lekin teri faza se nikalna muhaal tha

tha tir un ke pas wahi ek be-nazir
aur zakhm jo laga wo bhi apni misal tha

us ne bhala kaha ki bura us ki khair ho
main sun ke chup raha to ye mera kamal tha

chup-chap sar jhukae hue main guzar gaya
main jaanta tha jo teri basti ka haal tha

achchha hua guzar gaya 'akhtar' jahan se
muddat se wo 'said' ke gham mein nidhaal tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close