kal talak jo tha tasawwur anjuman-araiyon ka wo muqaddar ban gaya hai ab meri tanhaiyon ka zindagani phir bikharne tutne wali hai shayad ai zamin phir aa gaya mausam teri angdaiyon ka is jahan mein aaj jis ke sar pe taj-e-khusrawi hai sara qissa bas isi ke nam hai danaiyon ka aadmi mujh ko banaya hai unhi ruswaiyon ne hai azal se sath mera aur meri ruswaiyon ka ai 'wali' rishta samundar se hai dil ka kuchh yaqinan koi andaza laga paya na un gahraiyon ka