kaman saunp ke dushman ko apne lashkar ki kaha ki fath-o-zafar baat hai muqaddar ki bulawa lai hawa-e-bahisht phir ek bar tuyur jaanch karo apne apne shahpar ki chalo rakh aaen wahan hum bhi apne sar ka gulab suna hai bahuton ne us ki gali moattar ki pata chala ki wahi hai nisab se bahar mashaqqaton se jo main ne kitab azbar ki ba-juz hawala-e-sad-zakhm-e-be-nishan kya hai ek aarzu ki jo dil se nikal bahar ki pare hai surat-e-khuban talash-e-mani se mile na aab bhi kholen girah jo gauhar ki hai muntazir pas-e-darwaza-fana shayad jo ek bose mein chhine takan din bhar ki