kanar-e-barg-e-tabassum larazta qatra hai

kanar-e-barg-e-tabassum larazta qatra hai
zamin ki kokh mein lawa pighalta rahta hai

sulag rahi hain dil-o-jaan ki kaenaten aur
labon ki ot mein shoala chhupae rakkha hai

habab si kisi saat mein tujh se milne ko
kai yugon ka mujhe intizar karna hai

tere firaq mein badle hain aise kaun-o-makan
udas raat mein ek dopahar bhi zinda hai

zaban pe shorish-e-harf-e-shikayat-e-jaanan
inayaton ka tah-e-dil mein shor barpa hai

ufuq ke baam bhi hain dam-ba-khud teri khatir
teri talash mein bikhra hua ye sahra hai

ulajh rahi hai abas mauj-e-khun sahil se
har ek harf-e-tamanna sada-ba-sahra hai

dubo ke aa gaya main apni har sada lekin
mere wajud mein ye kis ki chikh zinda hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close