wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likhkha

wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likhkha
main ne ek wasl ko ek hijr ki haalat likhkha

main ne parwaz likhi hadd-e-falak se aage
aur be-baal-o-pari ko bhi nihayat likhkha

main ne khushbu ko likha dastaras-e-gum-shudagi
rang ko fasla rakhne ki riayat likkha

husn-e-goyai ko likhna tha likhi sargoshi
shor likhna tha so aazar-e-samaat likhkha

main ne tabir ko tahrir mein aane na diya
khwab likhte hue mohtaj-e-bashaarat likhkha

koi aasan rifaqat nahin likkhi main ne
qurb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likhkha

itne daon se guzar kar ye khayal aata hai
'azm' kya tum ne kabhi harf-e-nadamat likhkha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close