karb hare mausam ka tab tak sahna padta hai patjhad mein to pat ko aakhir jhadna padta hai kab tak auron ke sanche mein dhalte jaenge kisi jagah to hum ko aakhir udna padta hai sirf andhere hi se diye ki jang nahin hoti tez hawaon se bhi is ko ladna padta hai sahi-salamat aage badhte rahne ki khatir kabhi kabhi to khud bhi pichhe hatna padta hai sher kahen to aql-o-junun ki sarhad par ruk kar lafzon mein jazbon ke nagon ko jadna padta hai jiwan jina itna bhi aasan nahin 'azad' sans sans mein reza reza katna padta hai