karen salam use to koi jawab na de

karen salam use to koi jawab na de
ilahi itna bhi us shakhs ko hijab na de

tamam shahr ke chehron ko padhne nikla hun
ai mere dost mere hath mein kitab na de

ghazal ke nam ko badnam kar diya us ne
kuchh aur de mere saqi mujhe sharab na de

main tujh ko dekh ke tere bharam ko jaan sukun
ek aadmi hun zara soch aisi tab na de

wo mil na pae agar mujh ko is zamane mein
to aisi hur ka duniya mein koi khwab na de

ye mere fan ki talab hai ki dil ki baat kahun
wo 'ashk' de ki zamane ko inqilab na de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close