karti hai mujhe qatl mere yar ki raftar

karti hai mujhe qatl mere yar ki raftar
talwar ki talwar hai raftar ki raftar

kaj aisi na thi aage mere yar ki raftar
sikha hai magar charkh-e-sitam-gar ki raftar

sar girte hain kat kat ke wo rakhta hai jahan panw
sikhi hai magar yar ne talwar ki raftar

gardish hai teri nargis-e-bimar ko din-raat
dekhi nahin aisi kisi bimar ki raftar

talti nahin zulfon ke tasawwur ki tarah se
hai turfa judai ki shab-e-tar ki raftar

laghzish na ho kyun kar rah-e-din mein mujhe zahid
yaad aa gai us kafir-e-mai-khwar ki raftar

zalim tere kuche se qadam uth nahin sakta
kyun kar na chalun saya-e-diwar ki raftar

kya mar ko nisbat tere gesu ke chalan se
hai saya-e-gesu mein sanam mar ki raftar

moti ewaz-e-naqsh-e-qadam girte hain 'nasikh'
aisi hai meri kilk-e-guhar-bar ki raftar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close