shahr-e-tarik ke jalte hue manzar dekho

shahr-e-tarik ke jalte hue manzar dekho
qahqahe mar ke hansta hai sitamgar dekho

sukhe patton ko zara aag dikha do badh kar
aur phir aag ko ummid se badh kar dekho

pahle dekho ki ye shishe ka nagar bach jae
waqt mil jae to phenke gae patthar dekho

haq ki baaten mere hakim ko buri lagti hain
phir bhi kahta hun ki aawaz utha kar dekho

chashm-e-namnak meri khushk hua chahti hain
mazarat dost koi aur samundar dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close