karwan se kuchh is tarah bichhde ab kahin karwan nahin milta dard meraj ko pahunchta hai jab koi tarjuman nahin milta rahbaron ki hui wo arzai rah-rawon ka nishan nahin milta be-zaban ho gae zaban wale ab koi ham-zaban nahin milta 'arsh' kis se kahun main dil ka raaz raaz hai raaz-dan nahin milta