kaun aisa hai yahan dil se mujhe yaad kare

kaun aisa hai yahan dil se mujhe yaad kare
waqt thoda sa mere waste barbaad kare

ho gain bastiyan viran yahan pal bhar mein
koi to aae jo phir se inhen aabaad kare

pa-ba-zanjir koi dar pe mansur nahin
haq ki baaton pe bhala kaun yahan sad kare

kaisa pindar hai dil qaid hain khushiyan jis mein
in parindon ko hi aazad ye sayyaad kare

murda jismon mein muqayyad hain tadapti ruhen
koi zindan-e-nihan se unhen aazad kare

jis ki buniyaad mohabbat ki ho zamin 'sumbul'
aisa ek shahr yahan koi to aabaad kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close