kaun kahta hai ki dariya mein rawani kam hai main jahan dub raha hun wahan pani kam hai bhul kar bhi koi sunta nahin rudad meri waqia is mein ziyaada hai kahani kam hai ai khuda phir mere jazbon ko farawani de zindagi-bhar ke liye ek jawani kam hai mere lahje se mere dard ka andaza kar meri baaton mein agar talkh-bayani kam hai ye mohabbat hai ki ehsas hai mahrumi ka meri aankhon mein bahut kuchh hai zabani kam hai