kaun sayyaad idhar bahr-e-shikar aata hai

kaun sayyaad idhar bahr-e-shikar aata hai
tair-e-dil qafas-e-tan mein jo ghabraata hai

zulf-e-mushkin ka jo is shokh ke dhyan aata hai
zakhm se sina-e-majruh ka char jata hai

hijr mein maut bhi aai na mujhe sach hai masal
waqt par kaun kisi ke koi kaam aata hai

ab to allah hai yaran-e-watan ka hafiz
dasht mein josh-e-junun hum ko liye jata hai

dub kar chah-e-zaqan sina mera dil nikla
qadd-e-adam se siwa aab nazar aata hai

muzhda ai dil ki masiha ne diya saf jawab
ab koi dam ko labon par mera dam aata hai

tegh si chalti hai qatil ki dam-e-jang zaban
sulh ka nam jo leta hai to haklata hai

turra-e-kakul-e-pechan rukh-e-nurani par
chashma-e-aina mein sanp sa lahraata hai

shauq tauf-e-haram-e-ku-e-sanam ka din raat
surat-e-naqsh-e-qadam thokaren khilwata hai

du-ba-du aashiq-e-shaida se wo hoga kyunkar
aaine mein bhi jo munh dekhte sharmata hai

sakht pachhtate hain hum de ke dil us ko 'sayyah'
apni afsos jawani pe hamein aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close