lazzat-e-hijr ne taDpaya bahut ruswa kiya

lazzat-e-hijr ne tadpaya bahut ruswa kiya
tod kar phenka mere zabt ko gum-gashta kiya

aankh se tut ke barsa mere khwabon ka lahu
dil ki dahliz pe tanhai ne jab sajda kiya

main wahan rah gaya dekha mujhe logon ne yahan
hae taqsim mujhe ishq ne ye kaisa kiya

aagahi bakhsh ke tartib diya pahle mujhe
ishq ne ruh ko is jism se phir chalta kiya

khamushi ko na samajh le wo kahin meri shikast
hashr ji-jaan mein jaan-lewa sa khud barpa kiya

khud se ladte hue le aaya hun main khud ko wahan
mere sae ne juda mujh se jahan rasta kiya

ho na jaun kahin gum-gashta na mit jaun kahin
be-sabab dil ki tabahi ka miyan charcha kiya

khauf tha dasht utar jae na mujh mein tab hi
chashm-e-tishna ka makin bahta hua dariya kiya

khud se bichhda to khula raaz ye dil par mere
apni pahchan ho qismat ne mujhe tanha kiya

dil pe kya mauj-e-'nasimi' ne mere bosa dhara-
dil ki wahshat pe takallum ne mere qabza kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close