kaun yaad aaya ye mahkaren kahan se aa gain dasht mein khushbu ki bauchhaaren kahan se aa gain kaisi shab hai ek ek karwat pe kat jata hai jism mere bistar mein ye talwaren kahan se aa gain khwab shayad phir hua aankhon mein koi sangsar zer-e-mizhgan khun ki dhaaren kahan se aa gain shayad ab tak mujh mein koi ghonsla aabaad hai ghar mein ye chidiyon ki chahkaren kahan se aa gain sath hai milna agar chahun to milta bhi nahin ek ghar mein itni diwaren kahan se aa gain rakh diya kis ne mere shane pe apna garm hath mujh shikasta-pa mein raftaren kahan se aa gain