us se mera to koi dur ka rishta bhi nahin

us se mera to koi dur ka rishta bhi nahin
aur ye bhi hai ki wo shakhs paraya bhi nahin

wo mere gham se ho anjaan kuchh aisa bhi nahin
wo mera haal magar puchhne aaya bhi nahin

ghair ko qurb mayassar hai magar ai hamdam
meri khatir to tera dur ka jalwa bhi nahin

umr bhar sath nibhane ka karun kya wada
zindagi ab to mujhe khud pe bharosa bhi nahin

is qadar mujh ko raha aabru-e-gham ka khayal
rona chaha to magar phut ke roya bhi nahin

ek teri jo tamanna na rahi ai hamdam
mere dil mein to kisi shai ki tamanna bhi nahin

ek wo hain ki unhen aai hai aaram ki nind
ek main hun ki kabhi chain se soya bhi nahin

baz aate bhi nahin zulm-o-sitam se apne
dekh pate ho magar mera tadapna bhi nahin

chhode jati hai magar ye bhi tujhe yaad rahe
zindagi tere siwa ab koi apna bhi nahin

kis tarah phail gai bu-e-hina har jaanib
us ke bare mein abhi main ne to socha bhi nahin

mujh ko haalat ne behis hi bana kar chhoda
mere sine mein ye dil hai ki dhadakta bhi nahin

bhul ke sare sitam hum to chale jate 'zafar'
par hamein us ne kabhi dil se bulaya bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close